Saturday 2 August 2014

Banjara Lyrics - Ek Villain | Song By Irfan

Hindi Song: Banjaara
Movie or Album: Ek Villain (2014)
Singer(s): Mohd. Irfan
Lyricist(s): Mithoon
Music: Mithoon

Banjaara Lyrics

Jise zindagi dhoondh rahi hai
Kya ye woh makaam mera hai
Yahaan chain se bas ruk jaaun
Kyun dil ye mujhe kehta hai
Jazbaat naye se mile hain
Jaane kya asar ye huaa hai
Ik aas mili phir mujhko
Jo qubool kisi ne kiya hai

Haan..
Kisi shaayar ki ghazal
Jo de rooh ko sukoon ke pal
Koi mujhko yun mila hai
Jaise banjaare ko ghar
Naye mausam ki sehar
Yaa sard mein dopahar
Koi mujhko yun mila hai
Jaise banjare ko ghar
Hmm...

Jaise koi kinaara
Deta ho sahaara
Mujhe wo mila kisi mod par
Koi raat ka taara
Karta ho ujaala
Waise hi roshan kare woh shehar

Dard mere woh bhula hi gayaa
Kuch aisa asar huaa
Jeena mujhe phir se woh sikha raha
Hmm.. Jaise baarish kar de tar
Yaa marham dard par
Koi mujhko yun mila hai
Jaise banjare ko ghar
Naye mausam ki sehar
Yaa sard mein dopahar
Koi mujhko yun mila hai
Jaise banjaare ko ghar

Muskaata yeh chehra
Deta hai jo pehraa
Jaane chhupata kya dil ka samandar
Auron ko toh hardam saaya deta hai
Woh dhoop mein hai khada khud magar
Chot lagi hai usey,
Phir kyun mehsoos mujhe ho raha hai
Dil tu bata de kya hai iraada tera

Main parinda besabar
Tha uda jo darbadar
Koi mujhko yun mila hai
Jaise banjarey ko ghar
Naye mausam ki sehar
Yaa sard mein dopahar
Koi mujhko yun mila hai
Jaise banjarey ko ghar

Koi mujhko yun mila hai
Jaise banjare ko ghar
Jaise banjare ko ghar..
Jaise banjare ko ghar...
Jaise banjare ko ghar....

Friday 1 August 2014

Sheeshe Ka Samundar Lyrics - The Xpose | Ankit Tiwari

Hindi Song: Sheeshe Ka Samundar
Movie or Album: The Xpose (2014)
Singer(s): Ankit Tiwari
Lyricist(s): Sameer Anjaan
Music: Himesh Reshammiya

Sheeshe Ka Samundar Lyrics

Sheeshe ka samundar
Paani ki deewarein

Sheeshe ka samundar
Paani ki deewarein
Maaya hai, bharam hai
Mohabbat ki duniya
Iss duniya mein jo bhi gayaa
Woh to gaya!

Ho.. sheeshe ka samandar
Paani ki deewarein
Maya hai, bharam hai
Mohabbat ki duniya
Iss duniya mein jo bhi gayaa
Woh to gaya!

Ho.. sheeshe ka samundar
Paani ki deewarein

Barf ki reton pe
Shararon ka thikana
Garm sehraaon mein
Narmiyon ka fasaana
Yaadon ka aaina
Uthta hai jahaan
Sach ki parchaaiyan
Har jagah aati hai nazar

Sone ke hain baadal
Pattharon ki barish
Maya hai, bharam hai
Mohabbat ki duniya
Iss duniya mein jo bhi gayaa..
Woh to gaya!

Ho.. seeshe ka samundar
Paani ki deewarein
Wo o o . . .

Dil ki iss duniya mein
Sarhadein hoti nahi
Dard bhari aankhon mein
Raahatein soti nahi
Jitne ehsaas hain
An-bujhi pyaas hai
Zindagi ka falsafa
Pyaar ki panahon mein chhupa

Dhoop ki hawaayein
Kaanton ke bageeche
Maya hai, bharam hai
Mohabbat ki duniya
Iss duniya mein jo bhi gayaa
Woh to gaya!

Ho.. shishe ka samandar
Paani ki deewarein